“Par mujeh tere virudh ye kahna hai ke tu ne apna pahla sa PREM chhor diya hai. So chetkar ke tu kahan se gira hai ,aur mann fira aur pahle ke saman kaam kar. Aur yadi tu mannna firayega toh mai tere paas aakar teri deevat ko uss sathan se hata dunga.” Revelation 2:4-5
Hey Pita Parmeshwar dhanyavaad karte hain aaj ke vachan ke liye aaj ke vachan ke dwara hare k
ke jeevan me ashish aaye in Jesus wonderful name Amen
Brothers n sisters ANT ke dino me logo ka PREM thanda padh jayega jaise ke Yeshu ne kaha “
Aur Adharam ke badhne se bahuton ka PREM thanda ho jayega.” Mathew 24:12 Amen Brothersn
sisters Parbhu Yeshu Masih apne divya roop me Yahunna ko dikhayi diye aur ye vachan kahe.7
Kalisiyaon ke dooton ko patter likhne ko kaha.Yeshu ne kaha churches se , pastors vishvasiyon se
aura pen ministers se ke, mujhe tere Virudh ye kahna hai ke tune apna Pahle wala Pyar chhor diya
hai….kon sa pahle wala pyar ? Yaad karen? Jis din aapne Jesus ko paya tha grahan kiya tha wo
din kaisa tha ? wo pal kaisa tha? Wo din hamari zindgi ka sabse best se bhi best day hota
hai..hamare paon zameen par nahi jais ehum hawa me udh arhe hon…aisi khushi anand se mann
aatma bhare hote hain aur aiisa kisi dunia ki khushi se nahi hota..Us din hare k bhai bahan khushi
s enachta hai gaata hai kitten vaade karta hai Prabhu Yeshu Masih ke prem s ebharkar..Prabhu ab
toh bas aapke liye hi jeeunga..bar bar I love u Jesus kaha hoga sabne..Lekin jais ejais esamay beet
jata hai wo josh wo prem thora thora dheere dheere kam hone lagta hai..na pahle ki tarah vachan
ko padhne me vachan ko sunne me mann lagta hai..na hi pahle ki tarah Aradhana karte hain na hi
pahle ki tarah worship karte hain nachte gaate hain na hi ghuton ke bal hokar dua karte hain .na hi
sangti karte ahin Masihi vishvasi bhai behno ki aur na hi church jane ka mann karta hai..SAWAL
ye hai aisa kyun hota hai ? Prabhu ke liye wo PREM wo Josh kahan chala jata hai? Brothers n
sisters Jesus to humse pyar karta hi hai, iska proof usne calvary cross par diya apni jaan dekar
hamari khatir dukh uthaya mara gya dafan hua teesre din jee utha ,taki hume anant jeevan
mile….lekin hum Jesus se kitna prem karte hain? Aaj ke vachan ka matlab yahi hai ke hum us
Pahle DIN ki tarah jab humne Jesus ko muktidata mana us anant khushi ko paya tha, ant tak
waisa hi rahen. Revelation 2:4-5 verses ka matlab yahi hai ke hum apne us pahle Din ko, us palon
ko bhul gye hain apne us prem ko bhul gye hain…ab humme wo Prem ki aag nahi rahi..Kya hume
Jesus ko jayda janne ki bhook aur nahi badhni chahiye thi? Lekin Prabhu ke pyar ki bhook ki
jagah dunia ki auar aur baton ne le li jis wajah s ePrabhu ke liye hamare paas time nahi rahta.Jab
kuchh chahiye tha tabh hum din rata dua karte the bar bar church jate the sangti me jate the aur
Parmeshwar ke vacahn ko bar bar padhte the aur Prabhu ke vaade usko yaad dilate the..lekin jaise
hi hume jo chahiye the dua ke baad mil gya ,hum apne aapko kuchh aur his majhne lag gye ke
hum bahut dharmi hain. Aur apni dharmikta kayam kar li..lekin Prabhu Yeshu Masih ke sath
rishta jo jodha tha use gehrai me nahi jane diya. Prabhu is vachan ke dwara kahta hai ke yaad
karo ke kyun baki ke din pahle din ki tarah nahi hain? Prabhu ka vachan kahta hai yaad kar ke tu
jab mere paas aaya tha pure tan mann se aaya tha fir pichhe mudhke kyun chala gya?…tera ek
paon dunia me aur ek paon mere ghar me hai aisa kyun hua ?yaad karo? aisa isliye hota hai ki
ham apne un dukho ko bhul jate hain jinse Parbhu ne hame aazad karwaya tha. Brothers n sisters
hume Prabhu ka pyar yaad rahta hai…hum uske pyar me khush ho jate hain; lekin hum Jesus ko
wo Pyar nahi karte jo karna chahiye.Jis tarah hume Jesus ka pyar chahiye har pal usi tarah Jesus
ko bhi hamara pyar chahiye.Pahla hokum kya hai? Tu prabhu apne Parmeshwar se apne sare dil
jaan aatma aur takat se PREM rakh. Ye hokum hai God ka ..God se pyar karna matlab God ka
hokum pura karna hai..God ka hokum todhna matlab paap karna. Pushhen hum apne aap s ekitna
pyar karte ahin hum Parmeshwar se? Dunia ke pyar ke liye jana bhi hazir kar dete hain log lekin
Prabhu ke liye kitne log jaan dene ko tyar hain? aaj samay hai mann ko janche…apna mann ko
fira len…dunia ki taraf se mann ko hatake Prabhu ki taraf puri tarah se kar len..Shayad kal ye
mauka na mile isliye aaj iss muake ko hath se na jane den. Prabhu kahta hai agar aisa nahi karoge
to mai tumahri DEEVAT ko jo Swarg me us din se rakhi hai jis din tumne Jesus ko life di thi…wo
deevat prabhu hata dega us jagah se fir kahan jayenge marne ke baad? Aaj hum Brothers n sisters
ye ant ka samay hai agar aaj raat Jesus aa gya to kya hoga ?sochen ! jo kaam hume diye gye hain
uska hisaab God jarur lega Judgment wale din. Prabhu kahta hai jis ke kaan ho sun le ke Aatma
kalicia se kya kahta hai ..jo Jai paye use mai JEEVAN ke pedh me se jo Parmeshwar ke swarglok
me hai ,PHAL khane ko dunga..revelation 2:7 Amen Samay thora hai isliye jag jayen ..Neend se
jaag uthne ki ghadhi aa pahunchi hai.. jo sote hain wo raat hi ko sote hain…raat matlab paap bhare
jeevan. 1 Thessalonians 5 : 7 ” kyonki jo sote hain ve raat hi ko sote hain, aur jo matwale hote
hain ve raat hi ko matwale hote hain.” Prabhu ne jis andhere se hume nikala hai us taraf mudhke
wapas bar bar na jayen…apni ankhe Jesus ki taraf se na hatayen. Aaj socho ke mere jeevan me
aisa kya hua ke maine wo pahle din wali khushi kyun kho di hai..wo pahle wala josh kaise kho
gya…kahan se mai gira hun.. Jahan se gire hain hum, hamara vishvas, aur prem kam hua; God
chahta hai hai ke hum us pahle din wale prem ki tarah abhi bhar jayen usi aag me usi vishvas me
usi prem me bandh jayen Yeshu ke sath aur usi Anand Khushi se bhare rahen. Hamara naand
khushi kabhi kam na hone paye chahe hamare charpn taraf kitne bhi dukh kyun na hon vishvas
karen Prabhu par wo sambhalta hai hume.Brothers n sisters aaj hi tauba karen maafi mange
Parmeshwar se apni sari galti gunhaon ki aur ek baar fir se naye sire se Prabhu Yeshu ke sath
Jeevan ko shuru karen . Prabhu Hath pasare khada hai aap sabko gale lagane ko hamesha tyar
hai.jab tak muh me zuban hai jab tak sanse hain tab tak muka hai paschatap ka marne ke baad koi
chance nahi hoga..Faisla aapke hath me hai. Aaj ke vachan ke dwara Parmeshwar hum sabko
ashish de in Jesus name Amen